Friday, June 02, 2006

Tantrum

Dayaar-e-noor main teera shaboun ka saathi hou
koi tou ho jo meri wehshatoun ka saathi hou

main us say jhoot bhi boloon to mujh say such boley
meray mizaaj k sub mausamoun ka saathi hou

main us k haath naa aaoon woh mera ho ke rahey
main gir parroon to meri pastiyoun ka saathi hou

karey kalaam jo mujh say tou meray lehjay mein
main chup rahoon tou meray tewaroun ka saathi hou

main apney aap ko daikhoon woh mujhko daikhey jayey
woh meray nafs ki gumrahiyoun ka saathi hou

woh khuwaab daikhey tou daikhey meray hawaaley say
meray khayaal k sub manzaroun ka saathi hou

--- Iftikhar Arif


Is it asking for too much? Even if it is, that's what I need, so hey big guy up there! I need my order sealed, signed delivered.
Surely you only throw tantrums where they're most likely to be heard. He hears them all out, NEVER turns me down. No wonder vanity IS my greatest virtue

0 Comments:

Post a Comment

<< Home